Skip to main content

Posts

Showing posts with the label cat

Billi (Cat) ko bhuka maar deney ki wajah se Dojakh mein chali gayee.

Billi (Cat) ko bhuka maar deney ki wajah se Dojakh mein chali gayee. Hazrat Abdullah bin Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ek Aurat ko azab is wajah se hua kyunki usney ek billi ko itni der tak baandh kar rakha tha ki wo bhook se mar gayee aur wo Aurat isi wajah se Dozakh mein dakhil huyee. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaya  ki Allah taalane us sey kaha tha { Aur allah hi jiyada janta hai }  ki jab tuney us Billi ko baand kar rakha us waqt na tuney usey kuch khilaya aur na kuch pilaya aur na usey chod ki wo zameen ke keedey makodey hi kha kar apna pet bhar leti.. Reference: *Sahih al-Bukhari 2365In-book reference: Book 42, Hadith 13USC-MSA web )English( reference: Vol. 3, Book 40, Hadith 553* Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa. Foundation for Islamic Dawah ®.  (+91) 9839035299. www.facebook.com/FoundationForIslamicDawah