Skip to main content

Takbeer Tsbeeh Tahmeed Aur Tahleel Ki Fazeelat

Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Jo shakhs din mein sao martaba kahe:

سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ

Allah apni taareef ke saath paak hai

To uske gunah maaf kar diye jaate hein khua samandar ki jhaag ke barabar hon

[Al Bukhari 7/168, Muslim 4/2071]

Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Jis shakhs ne das martaba ye kalmah padha:

لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ ، وحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌِ

Allah ke siwa koi ibaadat ke laayaq nahi uska koi shareek nahi,usi ke liye milkiyat (hukoomat) hai aur usi ke liye hamd hai aur Woh har cheez par qaadir hai

Woh uss shakhs ki tarah hoga jisne Ismail Alaihi salaam ki aulaad mein se chaar (4) jaanen aazaad keen

[Sahih Al-Bukhari 7/67, Muslim 4/2071]

Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Do kalmeh aise hein jo zabaan par intehahi (bahot) halkay,mezaan mein bahot bhari aur Rahman ke yahan bahot ziyadah pasandeeda hein

سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ وسُبْحَانَ اللهِ الْعَظِيْمِ

Allah apni taareef ke saath paak hai aur Allah paak hai,azmat wala hai

[Bukhari 7/167,Muslim 4/2072]

Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:

سُبْحَانَ اللهِ ، ولْحَمْدُ لِلّٰهِ، ولَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَاللهُ أَكْبَرُ

Allah paak hai,Allah hi ke liye har qism ki taareef hai.Aur Allah ke siwa koi (sachcha) mabood nahi aur Allah sab se bada hai

Mujhe ye kalmaat kehna un tamaam (dunyawi) cheezon se badh kar mehboob hai jin par sooraj tuloo hota hai

[Muslim 4/2072]

سُبْحَانَ اللهِ

Allah Paak Hai

Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Kiya tum mein se koi shakhs rozana aik hazar nekyan hasil karne se aajiz hai? Aik aadmi ne kaha:Hum mein se koi shakhs kis tarah rozana aik hazar nekyan hasil kar sakta hai?Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Woh sao (100) martaba tasbeeh kahe to uske liye hazar nekyan likhi jaayengi ya uski aik hazaar khataaen (gunah) mita di jaayengi

[Muslim 4/2073]

AAP SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Jo shakhs kahe:

سُبْحَانَ اللهِ الْعَظِيمِ وَبِحَمْدِهِ

Paak hai Allah azmat wala apni taareef ke saath

Uske liye jannat mein khajoor ka aik darakht laga diya jata hai

[At Tirmidhi 5/551,Al Hakim 1/501]

Abu Musa Ashari RADHIALLAH ANHU farmate hein ke Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Aye ABDULLAH BIN QAIS!(Abu Musa Ashari RADHIALLAH ANHU ki kaneet) Mein tujhe jannat ke khazanon mein se aik khazana na bataon? Mein ne kaha ya RASOOLULLAH (SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM)!Kiyon nahi,farmaya kaho:

لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ

Nahi koi taaqat aur na quwwat magar Allah ki madad ke saath

[Sahih al-Bukhari Al-Fath Al-Bari 11/213, Muslim 4/2076]

Allah Taalaa ko sab se mehboob chaar kalmaat ye hein:

سُبْحَانَ اللهِ ، ولْحَمْدُ لِلّٰهِ، ولَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَاللهُ أَكْبَر

Allah paak hai,aur sab taareef Allah ke liye hai,aur Allah ke siwa koi ibaadat ke layaq nahi aur Allah sab se bada hai

In mein se jiss se bhi ibteda karlo tumhen koi nuqsan nahi

[Muslim 3/1685]

Aik Aaraabi RASOOLULLAH SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ke paas aaya aur kehne laga mujhe kuch kalam sikhaaiye jo mein kaha karoon,AAP SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya kaho:

لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ ،اَللهُ اَكْبَرْ كَبِيْرًا، والْحَمْدللهِ‎ِ كَثِيْرًا، سُبْحَانَ الله رَبِّ الْعَالَمِينْ،لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِالله الْعَزِيْزِالْحَكِيمِ

Allah ke siwa koi ibaadat ke layaq nahi,akela hai uska koi shareek nahi,Allah sab se bada hai bahot bada aur tamaam taareef Allah ke liye hai bahot ziyadah,Allah paak hai jo jahanon ka Rab hai,koi taaqat aur na hi koi quwwat hai magar Allah ki madad ke saath jo ghaalib hikmat wala hai.

Aarabi ne kaha ye to mere Rab ke liye hai,to mere liye kiya hai,AAP SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya kaho:

أَللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي، وَارْحَمْنِي، وَاهْدِنِي،وَارْزُقْنِي

Aye Allah mujhe bakhsh de aur mujh par rahem farma aur mujhe hidayat de aur mujhe aafiyat de aur mujhe rizq ata farma

[Muslim 4/2072]

Aadmi jab musalmaan hota to RASOOLULLAH SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM use pehle namaz sikhate phir in kalmaat ke saath dua ka hukm dete

أَللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي، وَارْحَمْنِي، وَاهْدِنِي، وَعَافِنِي ،وَارْزُقْنِي

Aye Allah mujhe bakhsh de aur mujh par rahem farma aur mujhe hidayat de aur mujhe aafiyat de aur mujhe rizq dey

[Muslim 4/2073]

Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ka farman hai ke sb se afzal dua

اَلحَمْدُللهِ‎ِ

Har qism ki taareef Allah hi ke liye hai

Aur sab se afzal zikr

لَا إِلٰهَ إِلَّا اَلله

Allah ke siwa koi (sachcha) maabood nahi

[At Tirmidhi 5/464,Ibne Majah 2/1249,Al Hakim 1/503]

Baqi rehne wale nek aamaal ye hein:

سُبْحَانَ اللهِ ، ولْحَمْدُ لِلّٰهِ، ولَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَاللهُ أَكْبَر، وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِالله

Allah pak hai aur har qism ki taareef Allah hi ke liye hai,Allah ke siwa koi (sachcha) mabood nahi,aur Allah sab se bada hai,aur burai se bachne ki himmat hai na neki karne ki taufeeq magar Allah ki taufeeq se

[Ahmad 513]

Comments

Popular posts from this blog

When wearing a garment

DUA [002] When wearing a garment الحمدُ للهِ الّذي كَساني هذا (الثّوب) وَرَزَقَنيه مِنْ غَـيـْرِ حَولٍ مِنّي وَلا قـوّة Translation: All Praise is for Allaah who has clothed me with this [garment] and provided it for me, with no power nor might from myself. Transliteration: Alhamdu lillaahil-la th ee kasaanee haa th aa (aththawba) wa razaqaneehi min ghayri hawlim-minnee wa laa quwwatin Get the Android App HisnulMuslim: https://play.google.com/store/apps/details?id=com.admads.android.HisnulMuslim_Google_JQM

مــــــــــنزل سے آگے بڑھ کر منزل تلاش کر Manzil se age barh kar manzil talash kar Urdu nazam

مــــــــــنزل سے آگے بڑھ کر منزل تلاش کر مــل جائے تجھکو دریا تو سمندر تلاش کر ہر شیشہ ٹوٹ جاتا ہے پتھر کی چوٹ سے پـــتھر ہی ٹوٹ جائے وہ شیشہ تلاش کر           سجدوں سے تیرے کیا ہوا صدیاں گزرگئیں           دنیا تیری بــدل دے وہ ســـــجدہ تلاش کر           ایـــــــمان تیرا لُٹ گیا رہزن کے ہاتھوں سے           ایـــــــماں تیرا بــــــــچالے وہ رہبر تلاش کر گھٹنے ٹکائے ســـر کو جھکایا ہوا ہے کیوں ظالــــــم کا سر اُڑا دے وہ جذبہ تلاش کر قـــــــــاتل ہی بن چُکا ہے منصف ہمارا اب قــاتل کو قــــتل کردے وہ قاتل تلاش کر           ہر شخص جل رہا ہے عداوت کی آگ میں           اس آگ کو بجھا دے وہ پانی تـــلاش کر           کـــــردے ســــــوار اونٹ پہ اپنے غلام کو           پـــیدل ہی خود چلے جو وہ آقا تلاش کر            *شیخ محمد اسماعیل الکرخی*

SURAH AL BAQARAH full by Mishary Alafasy [HD] - QURAN