Skip to main content

Tauba Wa Istigfaar

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM Ne Farmaya:

Allah ki qasam be-shak mein Allah Taalaa se aik din mein sattar (70) martaba se ziyadah maafi maangta hoon aur us se taubah karta hoon

[Sahih Al-Bukhari 6307,Vol. 8, Book 75, Hadith 319]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM Ne Farmaya:

Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Logon Allah Taalaa ki taraf taubah karo kiyon ke mein Allah Taalaa se aik din mein sao (100) martaba taubah karta hoon

[Muslim 4/2076]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM Ne Farmaya:Jis Shakhs Ne Kaha:

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الْعَظِيمَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْْقَيُّومُ وَ أَتُوبُ إِلَيْهِ

Mein Allah Taalaa se bakhshish talab karta hoon jis ke siwa koi sachcha mabood nahi,Woh hamesha zinda rehne wala hai,qaaem rehne wala hai aur mein usi ki taraf taubah karta hoon

To Allah Taalaa usay bakhsh dengay chaahay wo maidane jihaad se bhaaga ho

[Abu Dawood 2/85 And At Tirmidhi 5/569]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM Ne Farmaya:

Allah Taalaa apne bande ke sab se qareeb raat ke aakhri paher mein hota hai,agar un logon mein shamil hone ki istetaa-at rakho jo is waqt Allah ko yaad karte hein to un mein shamil ho jao

[At Tirmidhi And An Nasani 1/279,Sahih At Tirmidhi 3/183]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM Ne Farmaya:

Banda sajde ki haalat mein Allah Taalaa ke sab se qareeb hota hai,is liye tum sajde mein bahot ziyada dua karo

[Muslim 1/350]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM Ne Farmaya:

Mere dil mein susti ka pardah aajata hai,mein Allah Taalaa se aik din mein 100 martaba bakhshish talab karta hoon

[Muslim 4/2075]

Comments

Popular posts from this blog

DUA [010.1] When leaving the home

DUA [010.1] When leaving the home بِسْمِ اللهِ ، تَوَكَّلْـتُ عَلى اللهِ وَلا حَوْلَ وَلا قُـوَّةَ إِلاّ بِالله Translation: In the Name of Allah, I have placed my trust in Allah, there is no might and no power except by Allah. Transliteration: Bismillaahi, tawakkaltu 'alallaahi, wa laa hawla wa laa quwwata ‘ illaa billaah. Get the Android App HisnulMuslim: https://play.google.com/store/apps/details?id=com.admads.android.HisnulMuslim_Google_JQM

جواب آئے نہ آئے پکار دیکھتے ہیں

جواب آئے نہ آئے پکار دیکھتے ہیں وہ ایک قرض کہ ہم بھی اتار دیکھتے ہیں نشہ کہاں پہ ہے، آنکھ میں کہ باتوں میں تمہی یہ سوچنا…ہم تو خمار دیکھتے ہیں عجیب طور ہوا زندگی سے پیار ہمیں عجیب طور سے ہم انکا پیار دیکھتے ہیں خزاں کی شاخ یہ بیٹھے ہوئے پرندے ہیں وفورِ شوق سے ہم بھی بہار دیکھتے ہیں جہاں پہ پاؤں رکھیں کھینچ لیتا ہے وہ زمیں قدم قدم پہ یہ احسانِ یار دیکھتے ہیں شبہ طراز

Dark background HD wallpaper Images

Dark background HD wallpaper Images