Skip to main content

zikr ki fazeelat

فَٱذْكُرُونِىٓ أَذْكُرْكُمْ وَٱشْكُرُوا۟ لِى وَلَا تَكْفُرُونِ

Pus tum mera zikr karo mein bhi tumhen yaad rakhoon ga,aur mera shukr ada karo aur meri na-shukri na karo

[Surah Al-Baqarah,Aayat Number 152]

يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوا اذۡكُرُوۡا اللّٰهَ ذِكۡرًا كَثِيۡرًاِ

Aye imaan walo Allah ka bahot zikr karo

[Surah Al-Ahzaab,Aayat Number 41]

وَالذّٰكِرِيۡنَ اللّٰهَ كَثِيۡرًا وَّ الذّٰكِرٰتِ ۙ اَعَدَّ اللّٰهُ لَهُمۡ مَّغۡفِرَةً وَّاَجۡرًا عَظِيۡمًا‏ِ

Aur Allah ko kasrat se yaad karne wale mard aur yaad karne wali aurten Allah ne unke liye bakhshish aur bada ajr tayyar kar rakha hai

[Surah Al-Ahzaab,Aayat Number 35]

وَاذۡكُرْ رَّبَّكَ فِىۡ نَفۡسِكَ تَضَرُّعًا وَّخِيۡفَةً وَّدُوۡنَ الۡجَـهۡرِ مِنَ الۡقَوۡلِ بِالۡغُدُوِّ وَالۡاٰصَالِ وَلَا تَكُنۡ مِّنَ الۡغٰفِلِيۡنَِ

Apne Rab ko apne dil me aajizee aur khauf ke saath aur buland aawaaz ki nisbat past aawaaz (yaani kam aawaaz) ke saath subah wo shaam yaad karo aur ghaafilon mein se na ho jao

[Surah Al-Aaraf,Aayat Number 205]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Us shakhs ki misaal jo apne Rab ko yaad karta hai aur us shakhs ki misaal jo apne Rab ko yaad nahi karta, zinda aur murde ki tarah hai

[Sahih Bukhari Fathul Bari 11/208 and Muslim 1/539]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya: Kya mein tumhen tumhare aamaal mein se behtereen (amal) ke bare na bataon,jo tumhare maalik ke nazdeek pakeezah tareen,tumhare darjaat mein buland tareen,tumhare liye sona chandi kharch karne se bhi behtar ke tum apne dushman se aamna saamna karo to tum un ki gardanen mardo aur woh tumhari gardanen mar den.Sahabah RADHIALLAH ANHUM ne kaya: Kyon Nahi! Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Allah Taalaa ka zikr

[At-Tirmidhi 5/459, Ibn Maajah 2/1245. See Sahih Ibn Maajah 2/316 and Sahih At-Tirmidhi 3/139]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Allah Taalaa farmate hein: Mein apne bare mein apne bande ke guman ke mutabiq hoon,jab wo mujhe yaad karta hai to mein us ke saath hota hoon.Agar woh mujhe apne dil mein yaad karta hai to mein use apne dil mein yaad karta hoon,agar wo mujhe kisi jamaat mein yaad karta hai to mein usay us se behtereen jamaat mein yaad karta hoon,agar wo baalish bhar mere qareeb aata hai to mein aik haath us ke qareeb aata hoon,agar wo aik haath (ke faasle barabar) mere qareeb aay to mein do haath (phailane ke faasle ke barabar) uske qareeb aata hoon.Agar woh chalta hua mere paas aay to mein daurta hua uske paas aata hoon

[Al-Bukhaari 8/171, Muslim 4/2061]

Abdullah Ibn Busr RADHIALLAH ANHU se marwi hai ke aik aadmi ne kaha: Aye Allah Ke Rasool (SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM)! Mujh par Islam ke ahkamaat bahot ziyadah ho chuke hain, aap mujhe kisi aise amal ke baare mein bataiye jis par mein mazbooti se (mustaqil mizaji ke saath) amal kar sakoon.Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya: Tumhari zuban Allah ke zikr se tar rahe.

[At-Tirmidhi 5/458, Ibn Maajah 2/1246. See Sahih At-Tirmidhi 3/139 and Sahih Ibn Maajah 2/317]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Jis shakhs ne KITABULLAH se aik hurf padha,uske liye uske badle mein aik neki hai,aur aik neki apne jaisi das nekyon ke barabar hai ( yani das gunah ajr milay ga).Mein nahi kehta ke Alif-Laam-Meem aik hurf hai bulkay Alif aik hurf,Laam aik hurf aur Meem aik hurf hai

[At-Tirmidhi 5/175. See Sahîh At-Tirmidhi 3/9 and Sahîhul-Jaami As-Saghîr 5/340]

Uqbah Ibn Aamir RADHIALLAH ANHU se marwi hai unhon e kaha ke hum safar mein the, RASOOLULLAH SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM baahar aaye aur farmaya: Tum mein se kon hai jise ye pasand ho ke woh Bathan Ya Aqeeq (Do waadiyon ke naam) ki taraf subah sawere jaay aur bade bade kohanon wali do oontniyan baghair gunah kiye aur baghair qata rahmi kiye le aay.Hum ne kaha: Aye Allah Ke Rasool SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM hum sab ye baat pasand karte hain.Aap SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya: Kya tum mein se koi shakhs aisa nahi jo subah sawere masjid ki taraf aaye aur Allah Azza Wa Jal ki kitaab ki do aayaat seekhe ya padhe ye uske liye do oontniyon se behtar hai aur teen aayaat teen oontniyon se behtar hai aur chaar aayaat chaar oontniyon se behtar hai aur jitni aayat hongi utni hi oontniyon se behtar hai.

[Sahih Muslim 1/553]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Jo shakhs kisi jagah baitha aur wahan usne Allah ka zikr nahi kiya to wo jagah Allah ki taraf se uske liye baaise nuqsaan ( ghabraahat wo pareshani) hogi aur jo shakhs kisi jagah leta jahan usne Allah ka zikr nahi kiya to wo jagah uske liye Allah ki taraf se baaise nuqsaan hogi

[Abu Daawud 4/264, Sahîhul-Jaami As-Saghîr 5/342]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:JO qaom kisi majlis mein baithi aur wahan Allah ka zikr nahi kiya,na apne Nabi par durood bheja to woh majlis unke liye baaise nuqsaan hogi,phir agar Allah chaahe to unhen azaab (sazaa) de aur agar chaahe to unhen maaf farma dey

[At-Tirmidhi , Sahîh At-Tirmidhi 3/140]

Nabi Kareem SALLALLAH ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Jo qaom kisi aisi majlis se uthti hai jis mein unhon ne Allah ka zikr nahi kiya to (ye qaom) gadhe (donkey) ki sadi hui laash jaisi cheez se uthti hai aur ye majlis un ke liye baaise hasrat hogi

[Abu Daawud 4/264, Ahmad 2/389, Sahîhul-Jaami 5/176]

Comments

Popular posts from this blog

When wearing a garment

DUA [002] When wearing a garment الحمدُ للهِ الّذي كَساني هذا (الثّوب) وَرَزَقَنيه مِنْ غَـيـْرِ حَولٍ مِنّي وَلا قـوّة Translation: All Praise is for Allaah who has clothed me with this [garment] and provided it for me, with no power nor might from myself. Transliteration: Alhamdu lillaahil-la th ee kasaanee haa th aa (aththawba) wa razaqaneehi min ghayri hawlim-minnee wa laa quwwatin Get the Android App HisnulMuslim: https://play.google.com/store/apps/details?id=com.admads.android.HisnulMuslim_Google_JQM

مــــــــــنزل سے آگے بڑھ کر منزل تلاش کر Manzil se age barh kar manzil talash kar Urdu nazam

مــــــــــنزل سے آگے بڑھ کر منزل تلاش کر مــل جائے تجھکو دریا تو سمندر تلاش کر ہر شیشہ ٹوٹ جاتا ہے پتھر کی چوٹ سے پـــتھر ہی ٹوٹ جائے وہ شیشہ تلاش کر           سجدوں سے تیرے کیا ہوا صدیاں گزرگئیں           دنیا تیری بــدل دے وہ ســـــجدہ تلاش کر           ایـــــــمان تیرا لُٹ گیا رہزن کے ہاتھوں سے           ایـــــــماں تیرا بــــــــچالے وہ رہبر تلاش کر گھٹنے ٹکائے ســـر کو جھکایا ہوا ہے کیوں ظالــــــم کا سر اُڑا دے وہ جذبہ تلاش کر قـــــــــاتل ہی بن چُکا ہے منصف ہمارا اب قــاتل کو قــــتل کردے وہ قاتل تلاش کر           ہر شخص جل رہا ہے عداوت کی آگ میں           اس آگ کو بجھا دے وہ پانی تـــلاش کر           کـــــردے ســــــوار اونٹ پہ اپنے غلام کو           پـــیدل ہی خود چلے جو وہ آقا تلاش کر            *شیخ محمد اسماعیل الکرخی*

SURAH AL BAQARAH full by Mishary Alafasy [HD] - QURAN